Wednesday, October 15, 2008

मै बे-जुबान हूँ क़ैदी, तू छोड़ के दुआ ले


Aata hai yaad mujh ku guzra howa zamana
Wo baag ki baharein wo sab ka chahchahana

Azadiyaan ab kahaan wo apne ghonsle ki
Apni khushi se aana, Apni khushi se jana

Lagti hai chot dil pe aata hai yaad jis dum
Shabnam k aanshoyon pe kalyoon ka muskurana

Wo pyari pyari Surat ,wo Kamni si morat
Abaad jis k dum se tha mera aashiyaana

Aati nahi sadaayein uski mere kafas me
Hoti meri rehaai ay kash mere bus me

Kia badnaseeb hon mai, Gher ku taras raha hon
Saathi tu hain watan me, Mai qaid pe pada hon

Aai bahaar kaliyaan phoolon ki hans rahi hai
Mai is andhere gher me kismat kus raha hon

Is qaid ka Elahi dukhra kise sunaon
darr hai yahin kafas me mai ghum se na mar jaayonon

Jab se chaman chhota hai, Ye haal ho gaya hai
Dil ghum ku khaa raha hai, Ghum dil ku khaa raha hai

Gaane ise samjh k khush na ho sunne wale
Dukhte howe dilon ki faryaad ye sadaa hai

Azaad mujh ku kar de O qaid karne wale
Mai be-zuban hon qaidi, Tu chhod k Dua le


No comments: